SUNNI Tigers

SUNNI Tigers Sunni Tigers on mission

06/05/2023

Rozgaar Ki Talash Me Deewana Na Banna Chahiye..
Jo Naseeb Me Hota Hai Milta Hai

~Khalifa e Aalahazrat Qutb e Madina Allama Ziauddin Ahmed Madani Alaihirrahma

(Buzurgo Ke Farmoodat O Nigaarshat Safa 81)

29/07/2022

Mas'ala
Niyyat mein tadaad rak'at ki zaroorat nahi Albata afzal hai, to agar tadaad rak'at mein khata waqay hui maslan teen rakatay Zohar ya chaar rakatay maghrib ki niyat ki, to namaz ho jaye gi .
▪️ ( Bahar e Shari'at, Hissa 3 )

مسئلہ :
نیت میں تعداد رکعات کی ضرورت نہیں البتہ افضل ہے، تو اگر تعداد رکعات میں خطا واقع ہوئی مثلاً تین رکعتیں ظہر یا چار رکعتیں مغرب کی نیت کی، تو نماز ہو جائے گی۔
▪️ (درمختار، ردالمحتار)

27/07/2022

Ladko Ko Kaan Chidwane Ka Sharai Hukm

SUWAL
Assalamu Alaikum
Hazrat Aapse Ek Suwal Hai Ummeed Karta Hu Aap Zarur Jawab Denge,

Hazrat Jo Ladke ladkiyo'n Ki Tarah Kaan Ko Chhidwate Hai Wo Kaisa Hai?
Aisa Karna Chahiye Ya Nahi Karna Chahiye Aur Kisliye Nahi Karna Chahiye?

JAWAB
Wa Alaikum Assalam
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
بعون الله تعالى وتوفيقه

Bachche Ya Mard Ke Liye Kaano Ko Chhidwana Shar'an Najayaz Hai Aur Usme Baaliya Pahanna Haram Hai, Kiyunke Ye Aurato'n Ke Sath Mushahibat Hai.

Jaisa Ke Huzur Sadrus Shariyah Alaihir Rehma Farmate Hai Ke,
__Ladkiyu'n Ke Kaan, Naak Chhedna Jayaz Hai, Baaz Jahil Mard Aur Aurate'n Ladko Ke Bhi Kaan Chhidwate Hai Aur Darya (Baali Wagerah) Pahnate Hai, Ye Najayaz Hai,
Yani Ladko'n Ke Kaan Bhi Chhidwana Najayaz Aur Unke Kaan Mai Zewar Pahnana Bhi Haram Hai.
▪️(Bahar e Shariyat, Zeenat Ka Bayan, Hissa-16, P-596)

Afsos Hai Ke Aaj Musalman NauJawan digar Mazhab Ki Mushahibat Mai Shariyat e Mutahhira Ki Mukhalifat Karte Huye Nazar Aate Hai,
Rabb e Qadeer Loogo Ko Hidayat Ata Farmaye.
واللہ تعالی اعلم باالصواب

22/02/2022

or tum himmat na haro or gham na khao, agar tum iman wale ho to tum hi ghalib aaoge (صبح النور )

16/02/2022

Yaqoob Alaihissalam ne kaha!:: main to apni pareshani or gham ki faryad Allah hi se krta hun or main Allah ki taraf se wo baat janta hu jo tum nahi jante.......!Abdullah bin shaddad kehte hain,
maine pichli safo me Namaze fajr ada karte hue Umr Radi Allah anhu ki aahe'n suni aap ye aayat padh rahe the
tarjuma: main to apni preshani or gham ki fariyad Allah hi se krta hu

_________________________(مصنف ابن ابی شیبة:۳۵۶۵)

15/02/2022

jis din tum momin mardo or iman wali orto ko dekhoge ki unka noor unke age or unke daye janib doud rha hai (farmaya jayega ki) aaj tumhari sbse zyada khushi ki baat wo jannate hain jinke niche nehre behti hain tum unme hamesha raho yahi badhi kamiyabi hai...(صبح النور )

Eid_Milad_un_nabi  ﷺ Mubarik ho.....Hamare sekh ilm o basheert ke kohsaarHuzoor hujjatul islam abu Hamid ghazali رحمہ ال...
19/10/2021

Eid_Milad_un_nabi ﷺ Mubarik ho.....
Hamare sekh ilm o basheert ke kohsaar
Huzoor hujjatul islam abu Hamid ghazali رحمہ اللّه frmte hain :

sayyudana Adam alaihisalam ko sajdah krne ki wjhe Noore Mohammadi ﷺ tha...
Arsh ka Noor bhi Mohammad ﷺ ke noor se hai...
Qalb ka noor bhi Mohammad ﷺ ke noor se...
louh k noor bhi Mohammad ﷺ ke noor se....
or aql ka noor bhi Mohammad ﷺ ke noor se...
ma'arfat ka noor bhi Mohammad ﷺ ke noor se...
or sayyduna Adam alaihisalam ka noor bhi Mohammad ﷺ ke noor se hai...
or din ka noor bhi Mohammad ﷺ ke Noor se hai..
Aankho ka noor bhi Mohammad ﷺ ke Noor se hai...
or khud Mohammad ﷺ ka Noor Jabbar ﷻ ke noor se hai....

Huzoor jab intehayi shan par pahunche or A'ala sa'adato'n se Mashrraf hue to Aap ﷺ ne Bashar ki taraf rujoo farmaya or faqr ko ikhtiyat kiya''

(Milad khair_alanam ﷺ lilghazali:59)

ye wo shan Azeem hai or isme aisi gehrayi poshida hai ki dil beikhtiyar kehta hai Imam ghazali رحمہ اللّه ka ye kalam agar darakhto or patharo ko sunaya jaye to wo bhi wajd me jhoom uthe'n khwah hamari aankhe'n idrak na kar sake.....

Imam Ahme Raza رحمہ اللّه Farmate hain

Barhvi ke chand ka mujra hai sajdah noor ka
Barah burjoo se jhuka ek ek sitara noor ka
اردو:علی سنان

Roman Urdu: ابن عاقل



19/10/21ء

16/10/2021
25/09/2021

Mas'ala

Koi Shakhs Tilawat Me Mashgool Hai Ya Dars o Tadrees Ya Ilmi Guftugu Ya Sabaq Ki Takrar Me Hai To Usko Salam Na Kare

Isi Tarha Azaan, Iqamat, Khutba e Juma Wa Eidain Ke Waqt Salam Na Kare, Sab Log Ilmi Guftugu Kar Rahe Ho Ya Ek Bol Raha Ho Sab Sun Rahe Ho Dono Surto Me Salam Na Kare. (Maslan Alim Taqreer Kar Raha Ho Us Waqt).
▪️(Bahar e Shariat Jild 3 Hissa 16.)

واللہ اعلم ورسولہ بالصواب

Address

Salmanansari45047@gmail. Com
Johor Bahru
45047

Telephone

+601126072481

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when SUNNI Tigers posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share

Share on Facebook Share on Twitter Share on LinkedIn
Share on Pinterest Share on Reddit Share via Email
Share on WhatsApp Share on Instagram Share on Telegram